Tuesday, February 17, 2009

" AAINA....."


“ AAINA……”


Kitna sundar lagta hai…jab koi apni tarah lagta hai…
Kuchh apni si kehta hai…kuchh apni si sunta hai…
Kambakht ye to aaina hai…
Jo surat badalte hi bas usi ki tarah lagta hai………..

Jahaan na kuchh apna hai na kuchh paraaya …..
Bas kuchh hai to wo hai apna saaya…………...
Ab sundar hai…tab bhi tumhaara ….
Badsurat hai…tab bhi …
hain to sab wahaan ek jaise……magar phir bhi…har baar khud ko zyaada sundar banaane ki hod si lagi rehti hai…hum sabke beech………….
Ab aaina to wahi hai….bhes badalne mein hum apni aankhon ko to dhokha de sakte hain …magar…..aaine ko nahin…..
Wo to ek hi pal mein sab pehchaan jaata hai…
Chahe koi kitna bhi ban sanwar kar aaine ke saamne khada ho… magar…aaine ke sach se koi nahin bach sakta……
Wo to darpan hai…apnapan nahin … jo jhooth ko bhi jeete huye bol de ki….yahaan kaun sachcha hai………………….

Darpan….haan…aaina….

Sach hai….roop ki dharohar ka vaastvik aalingan shayad hi koi aur doosra aaine se achchha kar paaye……………………

--------------------------------------------------------------------------------
Vikram choudhary

No comments: