Friday, February 20, 2009

" AKELAPAN ..."


“ AKELAPAN…..”


Ye mera akelapan…kab door hoga mujhse…..
Ab paas hai ye mere…kuchh khaas hai yun sabse…..
Door mai rehna chahta hoon…mere is akelepan se…..
Magar kehta hai ye mujhse…na door hona tum aise….
Ki reh na jaayen hum tanha ….
duniyan mien khud se bichhad ke…..
sab kuchh hai paas mere…
kaash ho jaayen ab savere...
kareeb hain dil ke khushiyan…
phir bhi hain tanha andhere …..
ye mera akelapan aur mere afsos nazaare…..
har baar kehte hain mujhse…
kuchh rehem to lo rab se…..
rakhne hain paas dil ke…
ab mujhko naye sahaare…..
jo door rakhenge mujhko…
bachaa kar akelepan se…..
hai pyaar akelepan ka ki muddat se paas hai mere…..
magar kho jaaoonga ab mai…
is akele pyaar mien jahaan ke…..
akelapan aur tanhaayi…
yun baithey hain aas lagaa ke…..
na chhod jaaye yun mera dil …
inko is be-dil jahaan mien………
ke kahaan jaayenge hum chhod kar is dil ko…..
ki kahaan milega aisa dil…is duniyan mien humko…..
jo pyaar karta hai aise…tanhaayi aur akelepan ko…..
ki hon wo uske saathi…koi pyaare jeevansaathi jaise....
rota hai mera akelapan…door hone ke is ghum se …..
ki aankhen bhi meri dekh kar…us akelepan ka pyaar...
roti hain akele mien kahin chhup kar……
door karne ko dil ka karaar…
ab kaise mai chhod doon isey……
is jaalim sansaar ki bereham vaadiyon mien…..
ke hai ye mera akelapan…
naa door hoga ab ye mujhse…………………………….
Hota agar koi kaanch ka tukda….
To mere dil ki tarah isey bhi toot jaane deta….
Magar kya karoon….
ye to chhoote hi mere jaisa ho jaata hai……………

-----------------------------------------------------------------------

“ VIKRAM CHOUDHARY …”

No comments: