Monday, February 16, 2009

" SHAAYAD KOI KHAAB ADHOORA SA HAI.."


“ SHAAYAD KOI KHAAB ADHOORA SA HAI….”


Sehma sa aankh ka aansoo
Rookhey rukhsaaron par apne
Hissey ki daraaron mien simat kar
Naa jaane kis gehri si neend mien baitha hai
Chup chaap baitha yun hi
Aankhon ko taktaa rehta hai
Shaayad koi khaab adhoora sa hai…………………

Seepi ka thahara sa dil
Kabhi chhalakta sa kabhi behekta sa
Kabhi lehron pe to kabhi ret ke teelon par
Apni muskaan se bachta phirta hai
Kahin hans diye honth
to phisal kar moti beh jaayega
ek apna hi hissa pal mien dhay jaayega
agle hi pal…honth khuley…
bas ek chand si muskuraahat de kar
moti chal padha apne naye aashiyaane ki ore
aakaash mien baahein kholey seepi ka dil
hansne ki khwaahish mien jalta rehta hai
shaayad koi khaab adhoora sa hai………………….

Kora sa kaanch ka khilaunaa
Sajaa hai … bade hi sundar
nakkaashi bhare Khilaunon ke beech
koi satrangi koi gulaabi to koi saundhi si
rangat liye apne apne roop ko sahej raha hai
magar wo kora sa kaanch ka khilauna..
unki hi chamak apne chehre par dekh kar
khush huye jaataa hai…
magar badi dhool si lipti hai uske chehre par
sundar khilaunon ki chamak zaraa..
pheeki si chhan rahi hai uski aankhon mein…
par ye kya… dheere dheere sab sundar khilaune
kahaan jaa rahe hain…mai bhi jaaoon kya…..?
achaanak ek sipaahi aaya aur mujhe
dhakel diya almaari ke peechhey…
mai sisakta raha subakta raha…
gum sum sa ek kone mien palta raha…
ab to har rangeen sa chehra dhundhlaa sa hai…
shaayad koi khaab adhoora sa hai…………………….

--------------------------------------------------------------------------------





No comments: